How To Retain Customer For Lifetime - ग्राहक को हमेशा के लिए रोकने के 10 तरीके

10 Best Tarike - Grahak Ko Lifetime Kaise Roke?
Grahak ko hamesha izzat de. Namaste bole, muskuraye. Agar aapka vyavhar achha hoga, to grahak baar-baar aapke paas ayega.
1. Best Service Do
Customer ko jo bola wahi do. Jhootha promise mat karo. Service acchi hogi toh wo khud wapas ayega.
2. Thank You Bolo
Har kharidne ke baad "Thank You" ka message bhejo. WhatsApp par - "Bijaya ki taraf se Dhanyawad". Chhota sa shabd dil jeet leta hai.
3. WhatsApp Broadcast Banao
Har customer ka number save karo. 100 logo ki Broadcast List banao. Roz ek helpful tip bhejo, roz selling mat karo.
4. Email Newsletter
Customer ka email lo. Har hafte ek naya offer ya jankari bhejo. Email se customer kabhi bhulta nahi.
5. Festival Par Yaad Karo
Diwali, Holi par "Happy Diwali" ka message bhejo. Customer ko lagega aap use yaad rakhte ho.

6. Complaint Turant Solve Karo
Agar customer gussa hai toh 1 ghante ke andar reply do. Gusse wale customer ko khush karoge toh wo lifetime rahega.
7. Loyalty Discount Do
Purane customer ko naya customer se 10% sasta do. Bolo "Aap hamare purane customer ho, isiliye aapke liye special discount".
8. Free Jankari Do
Apne blog A2Z Online Free par free tips dete raho. Jaise ye post. Customer ko lagega aap sirf paise ke liye nahi, madad ke liye ho.
9. Feedback Lo
Har mahine pucho - "Hamari service kaisi lagi?". Customer ko lagega uski sunwai ho rahi hai.
10. Personal Touch Do
Customer ka naam yaad rakho. "Namaste Ramesh Ji" bolne se "Hello Sir" se zyada asar hota hai.
🔔 FOLLOW karo - A2Z Online Free Blog ko, roz aise hi earning tips ke liye


कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें